Ads 468x60px

Power By Inamullah Qaisrani

Thursday 26 June 2014

Reality behind GIRL FRIEND.

اسلام و علیکم  

 Umeed karta hon k aap sab Khariat se hon ge.
                                                                              Janab Readers aaaj main aap logon ko GIRL FRIEND banane ki haqiqat batata hon.Zara Demagh kay darwaze khol kay Sochie ga is baat par.
      Jo larke larkion ko dost banate hain unhon ne kabhi socha hai k Sha'riat ne is kaaam se roka hai.Sab log jante hain kay Shariat ne hamien larke or larki ke ghair zaroori ta'ulqat se mana farmia hai or iske karne wale k lie bohat bari Sazaien or na Karne wale k lie buhat se Inamat zindagi oor akhirat main hain.
Hamare mulak PAKISTAN main har mard taqriban yehi chahta hai k us ki bivi (Wife) beti (Daughter) behnein (Sisters) hamesha Paak.o.Saaf rahien wo kabhi kisi ghair mard se kisi kisam kay ta'ulqaat na rakhe 
MAGAR 
kabhi kisi ne socha hai k woh khud kitna paak.o.saaf hai woh jo kisi ghair Oorton k sath ghair zaroori ta'ulqat rakhta hai woh bhi to kisi ki wives, sisters and daughters hain
YAAD RAKHIE 
ISLAM ne wazih Alfaaz main keh diya hai k 
                                                                               (MAFHOOM)

                              "                            
                                                "
Agar aap apni Jawani main bure kaam karte hain or GIRL FRIEND jese muhallak marz main giraftaar ho jate hain orr kisi oorat se ghair zaroori ta'ulqat rakhte hain to yaad rakhie ga apni hone wali WIFE se b yehi umeed rakh lien kay us ne bhi kisi mard kay sath ghair zaroori ta'ulqat rakhien hon ge or shayad rakhti ho..
OR
 kisi khush naseeb ne tooba kar li or acha insan ban gia apni jawani main sabar kia to ALLAH uski zindagi ko kesi jannat banata  hai or akhirat main us ke lie kese kese inamat hain aap dekhte reh jaien gay 
AGAR
aap ne abhi tak tuba ni ki to Foran ja k ALLAH ka hazoor apne gunahon ki muafi mangien or Aainda k lie is kaam se tooba karlien.....
IS bat pe 
               DEMAGH SE SOCHIE GA
                                                  ALLAH HAFIZ


No comments:

Post a Comment